Romantic Love Story
Ek sundar si ladki thi Archna jo ki medical college ki student thi. Archna bahut hi hoshiyaar or samjhdar ladki thi jaise ki normal sabhi ladkiyaa hoti hain. lekin Archna ka maan padayi par hi jyada rahta tha isliye wah apni maan pasand vishay ki kitabo ko apne pass hi rakhkar soti thi.
Ek din sabah sabah Archna ki mummy ne Archna ko uthaya to unhone dekha ki Archna sote sote hi pad rhi hai or yah dekhkar unhone kaha ki hamari Archna ki adat to sabhi bacho se alag hai kyoki sabhi ke bachche is umar me masti karte hai or ye din raat padayi karti hai yah sunte huye Archna apne bistar par se uthti hai.
Tabhi achanak Archna ko ek call ata hai ki teri class ka ek lecture khatam ho chuka hai. yah sunte hi wah jaldi jaldi uthte hi teyar hokar college ke liye nikal jati hai. or thodi der me hi Archna college pahuch jati hai. College me Archna ka ek best friend hai jiska na Akash hai. Akash bahut hi sida sada kam height wala chashma pahanne wala normal sa ladka hai. Jo ki Akash hamesha Archna ki help or jyada tak college me Archna ke sath hi rahta hai.
Archna or uska friend Akash class ja hi rhe hote hain ki achanak College ka ek ladka Archna ko pareshan karne ke liye iske pass a jata hai lekin Archna us badmash ki achhi se bejiti karte huye apki class me chali jati hai.or kuchh is tarah din bitte rahe.
Ek din roj ki tarah Archna college ki Class me apni books lekar ja hi rahi thi ki tabhi achanak wah ek anjaan ladke se takra gayi or uski sari books bhi niche gir gayi. Ladka thoda jaldi me or wah shayad kisi ko dhund rha tha. us ladke ka naam Abhay tha. Abhay hadbadate huye Archna se bola kya apne meri Meera ko dekha hai. Archna thoda hichkichate huye bolti hai ji nahi mene nahi dekha.
Abhay ek dimagi mariz hai kyuki Meera Abhay ki girlfriend thi. Lekin ek accident me Meera ki death ho gayi thi or Abhay us sadme ko abhi tak nahi bhula paya hai isliye Abhay ko lagta hai Meera abhi bhi jinda hai or wah Meera ko jaldi hi dhund lega.
Kuchh dino ke baad jab Archna college class le rhi thi. Tabhi class me kuchh Doctor aye or unhone student ko kuchh dimagi marijo ka ilaj karne ko kaha or student ko bataya ki app sabhi ke pass ek bahut bada chance hai apne dimagi marijo ka achhe se ilaj karke unhe thik karne ka.
Agle hi din doctors medical student ko marijo ka naam or unki detail batane lage. Archna ko Abhay ka ilaj karne ko kaha gaya. Archna ne Abhay ki sari detail achhe se pad li thi ki sach me Abhay ko kis baat se dikkat hai. Dheere Dheere Archna ne Abhay ki biti huyi life ke bare me detail nikali jiske ki Abhay ko samjhne me Archna ko kisi dikkat ka samna na karna pade.
Jab ek din Archna Abhay ke ghar gayi to Abhay ke papa ne darwaja khola or unhone Archna se puchha ki app kon ho or yahan kyu ayi ho? or fir Archna ne sab kuchh apne bare me bata diya. Abhay ke papa adhe adhure maan se ilaz ke liye taiyar ho gaye. iske baad wah Archna ko Abhay ke pass lekar gaye.
Abhay ne Archna ko jaise hi dekha ko waha Archna se Meera ke bare me puchne laga or Archna khud pareshani me pad gayi ki ab wah Abhay ko kaise jawab degi. kyuki Abhay ko sirf or sirf Meera se milna tha na. Abhay ki halat kharab hoti dekh Abhay ke papa ne Archna ko jane ko kaha or ye bhi kaha ki plzz app Abhay na kare kyuki Abhay ka ilaz Dr. Pathak kar rahe hain to unhe hi karne dein. or iske baad Archna wahan se chali gayi.
Shayad Archna ke maan me Abhay ke liye ek alag si hi feeling ane lagi thi isliye Archana apne friend Akash ke sath Abhay se milne park me gayi wahan Abhay apne papa ke sath running kar rha tha. Archna ne apne friend Akash ko kaha ki tu Abhay ke papa ka dhyan bhatkaye jisse me Abhay se baat kar saku.
Romantic Love Story
Os is tarah Archna ne Abhay ko uska ilaz karne ke liye mana liya. Archna Abhay se wahi cheeze puchti thi jo Abhay ko achhi lagti thi jaise ki Abhay ko meera ki har cheez pasand thi. Archna Apne pyaar ko pane ke sath sath Abhay ko pyaar ke tariko se hi thik karna chahti thi.
Ek din Archna ne plan banaya ki jaise Abhay or meera ka accident hua tha waisa dobara ho shayad is tarike se Abhay ki dimagi halat thik ho jaye. yah sochkar Archna ne Abhay ko bike par ghumne ki baat kahi or Abhay maan bhi gaya. Age wahi hua jo soch rakha tha lekin ab Abhay Archna ko hi Meera samajhne laga. to ab Abhay Archna se sath jyada samay sath rahta.
Ab Abhay bahut khush tha use lagta tha ki use uski Meera mil gayi hai. Lekin Archna Abhay ko pyaar karti thi. isliye wah chahti thi ki Abhay mujhe pyaar kare lekin mujhe Meera samajhkar pyaar na kare. Isliye Archna ne Abhay ko sari sachayi bata di. or fir Abhay ko sach me yah pata chala ki meera sach me mar chuki hai to use kafi dukh hua or usne Archna ko bura bhala kahkar use wahan se bhaga diya.
Archna bechari bahut royi or bahut pareshan rahane lagi. Lekin idhar Archna ke ilaj ki wajah se Abhay ab bilkul thik ho gya tha. Abhay ko apni galti ka ehsas hua. or use laga ki agar Archna Meera ki jagah lekar uska pyaar pana chahti hai to Archna use kabhi sachayi ni batati. Ab use samajh me a chuka tha ki Archna use sachhe dil se pyaar karti hai.
Abhay Archna ke college me jakar sabhi doctors se mila to sabhi khush ho gaye. Abhay ne sabhi ko bataya ki jo meri halat me sudhar hua hai wo sab archna ke ilaz ki wajah se hi hua hai. or sabhi ke samne Abhay ne Archna ko propose kiya kiya.
Shayad kisi ne sach hi kaha hai ki sachcha pyaar der se hi sahi lekin milta jarur hai.
Romantic Love Story


No comments:
Post a Comment